
Zindagi me khushi raas nahi aati,gham se rishta hai dosti ka,
hothon par hansi raas nahi aati,aansu se rishta hai dillagi ka,
koi mere paas hoke bhi mujhse door hai,kismat ka rishta hai humse berukhi ka,
socha kai baar k bhula doon use,par meri saanson ka rishta hai usse zindagi ka,
har tamanna har aarzu ne dam tor diya,meri saanson me ravani hai ab bhi,ye aalam hai meri bekhudi ka.
No comments:
Post a Comment