Thursday, August 26, 2010

Misfortune. . . . . . . . . . .


Tera chehra dikhe yahi soch kar tere khayalon mein khoya rahta hoon,
khwabon me tum aate ho isliye har waqt khwab dekha karta hoon,
par tum ho k khwab me bhi hamen tarpate ho,
aur ek jhalak dikha kar gayab ho jate ho,
teri talash mein hum dar-badar bhagte hain,
aur jab manzil k pass hote hain tabhi khwab se jagte hain,
har baar yahi nakami hath lagti hai,
aur har baar sirf teri yaad pas lagti hai,
par mushkil yahi hai na teri yaadon k sahare zindagi bita sakte hain,
aur na hi tumse kitna pyar karte hain ye bata sakte hain.

No comments:

Post a Comment