
manzil ki talash ye mujhe kahan le aayi hai,
yahan har khushi hai phir bhi tanhai hai,
yahan main kho gaya hoon zindagi ki tez raftar mein,
ab khud ko kahan talashun is ajnabi sansar mein,
khud ko talash bhi paya to kya sab pahle ki tarah hoga?
jo karvaan main chhor aaya tha wo ab bhi usi jagah hoga?
to ab is nayi duniya mein apni kismat azmane ki koshish kar raha hoon,
aur lakhon ki bheer mein apni pahchan banane ki koshish kar raha hoon,
agar kamyab hua safar to shayad main apni manzil paunga,
verna toofan mein ure hue tinke ki tarah kahin kho jaunga.....